sans ke shor ko jhankar na samjha jae hum ko andar se giraftar na samjha jae us ko raste se hatane ka ye matlab to nahin kisi diwar ko diwar na samjha jae main kisi aur hawale se use dekhta hun mujh ko duniya ka taraf-dar na samjha jae ye zamin to hai kisi kaghzi kashti jaisi baith jata hun agar bar na samjha jae us ko aadat hai ghane ped mein so jaane ki chand ko dida-e-bedar na samjha jae apni baaton pe wo qaem nahin rahta 'tabish' us ke inkar ko inkar na samjha jae