paiham mauj-e-imkani mein agla panw nae pani mein saf-e-shafaq se mere bistar tak saton rang farawani mein badan visal-ahang hawa sa qaba ajib pareshani mein kya salim pahchan hai us ki wo ki nahin apne sani mein tok ke jaane kya kahta wo us ne suna sab be-dhyani mein yaad teri jaise ki sar-e-sham dhund utar jae pani mein khud se kabhi mil leta hun main sannate mein virani mein aakhir socha dekh hi lije kya karta hai wo man-mani mein ek diya aakash mein 'bani' ek charagh sa peshani mein