sans ki aas nigahban hai khabar-dar raho dil charagh-e-tah-e-daman hai khabar-dar raho phir do aalam ke ujadne ki ghadi aa pahunchi aaj phir husn pasheman hai khabar-dar raho jada-e-shahr-e-tasawwur ki raha rishta-e-jaan surat-e-gard-e-pareshan hai khabar-dar raho phir kisi dil mein qayamat ne sukun dhundh liya aaj phir wa dar-e-zindan hai khabar-dar raho rang-o-khushbu ke tilismat mein khone walo phul mein aag bhi pinhan hai khabar-dar raho is qadar mahw na ho jao gham-e-duniya mein saf aks-e-gham-e-jaanan hai khabar-dar raho dil lagao na chaman se na chaman walon se aakhir-e-kar bayaban hai khabar-dar raho do ghadi ke liye mumkin hai koi phul khile hasil-e-dasht-e-mughilan hai khabar-dar raho 'bu-ali' aabla-pa sar-ba-gareban hai yahan maut is dard ka darman hai khabar-dar raho dil ki hai matami-e-hasrat-e-tamir-e-azal khud hi ghaarat-e-gar-e-saman hai khabar-dar raho phir rag-o-pai mein utar aaenge suraj gal kar aaj phir koi ghazal-khwan hai khabar-dar raho ek ek harf ki aaega zaban par logo girah-e-shoala-e-pechan hai khabar-dar raho kab talak sooge ai kucha-e-jaanan walo asar-e-jaur numayan hai khabar-dar raho zikr mera ba-badi bhi na zaban par lao ye bhi ek surat-e-darman hai khabar-dar raho tur-e-sina ho ki lahore ki galiyan 'shohrat' husn-e-har-rang gurezan hai khabar-dar raho