mere sine par wo sar rakkhe hue sota raha jaane kya thi baat main jaga kiya rota raha shabnami mein dhup ki jaise watan ka khwab tha log ye samjhe main sabze par pada sota raha wadiyon mein gah utra aur kabhi parbat chadha bojh sa ek dil pe rakkha hai jise dhota raha gah pani gah shabnam aur kabhi khunab se ek hi tha dagh sine mein jise dhota raha ek hawa-e-be-takan se aakhirash murjha gaya zindagi bhar jo mohabbat ke shajar bota raha rone walon ne utha rakkha tha ghar sar par magar umr bhar ka jagne wala pada sota raha raat ki palkon pe taron ki tarah jaga kiya subh ki aankhon mein shabnam ki tarah rota raha raushni ko rang kar ke le gae jis raat log koi saya mere kamre mein chhupa rota raha