sans ki dhaar zara ghusti zara katti hai kya daranti hai ki khud fasl-e-fana katti hai ek taswir jo diwar se uljhi thi kabhi ab meri nazron mein rahne ki saza katti hai teri sargoshi se kat jata hai yun sang-e-sukut jis tarah habs ke patthar ko hawa katti hai qata karta hai mere halqa-e-virani ko nind jo mod pas-e-khwab sira katti hai yunhi girti nahin ashkon ki siyahi dil par an-kaha likhti kabhi likkha hua katti hai chikhna chahun to dasti hai khamoshi 'shaariq' chup rahun to mujhe zahrili sada katti hai