kahan se laen hikayat-e-nau kahan hai naya mata-e-zor-e-bayan hi se ye jahan hai naya ulajhta rahta hai kohna-nuqush-e-dauran se mere wajud mein ek shakhs jo nihan hai naya abhi nuqush mitae hain dil ke patthar se meri jabin pe phir zakhm ka nishan hai naya har ek shai pe wahi gard hai udasi ki tum aa gae ho to lagta hai ye jahan hai naya