sans lene ka kab mahal hai yahan sans lena to ek jadal hai yahan ye hai aashob-e-shahr ka mausam sinf-e-matruk ab ghazal hai yahan main palak bhi jhapak nahin sakti mesmerism ka kya amal hai yahan tum ne unton ki daud dekhi hai tifl kis ka sar-e-jamal hai yahan lamha lamha badalta jata hai kaun jaane ki kya atal hai yahan 'sadiya' aarzu ka hasil kya koi har chiz ka badal hai yahan