hadis-e-jam chale qissa-e-subu nikle

hadis-e-jam chale qissa-e-subu nikle
kisi bhi tarah sahi teri guftugu nikle

main tesha-zan hun tere waste yahi bas hai
ye aarzu hi kise hai ki aarzu nikle

na jaane kyon mera lahja badalne lagta hai
jo doston mein kabhi teri guftugu nikle

dilon ki baat bhi nikli nasim-e-awara
hamare ishq ke qisse bhi ku-ba-ku nikle

ye jaante hain ki tu shahr mein nahin hai magar
hai phir bhi aas kisi mod par se tu nikle

dil-e-gudaz ka karta hun ehtiram itna
main chum leta hun jis aankh se lahu nikle

khuda ke fazl se main kam hunar na tha 'afsar'
sitam to ye hai ki ahbab aib-ju nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close