sans lete hue bhi darta hun ye na samjhen ki aah karta hun bahr-e-hasti mein hun misal-e-habab mit hi jata hun jab ubharta hun itni aazadi bhi ghanimat hai sans leta hun baat karta hun shaikh sahab khuda se darte hon main to angrezon hi se darta hun aap kya puchhte hain mera mizaj shukr allah ka hai marta hun ye bada aib mujh mein hai 'akbar' dil mein jo aae kah guzarta hun