koi aur hai nahin to nahin mere ru-ba-ru koi aur hai badi der main tujhe dekh kar ye laga ki tu koi aur hai ye gunahgaron ki sar-zamin hai bahisht se bhi siwa hasin magar is dayar ki khak mein sabab-e-numu koi aur hai jise dhundhta hun gali gali wo hai mere jaisa hi aadmi magar aadmi ke libas mein wo farishta-khu koi aur hai koi aur shai hai wo be-khabar jo sharab se bhi hai tez-tar mera mai-kada kahin aur hai mera hum subu koi aur hai