sans roke raho lo phir wo sada aati hai jis ko tarsen kai sadiyan to suni jati hai koi pahchan wahi phans bani hai ki jo thi ajnabiyyat wahi har sans mein sharmati hai hath phailae hue mang rahi hai kya raat kyun andheron mein hawa roe chali jati hai maut ki nind magar ab ke zarur uchti hai warna hum aison ko jhapki si kahan aati hai baat karta hun main sab ki ye guman kaise hai mera har saneha mera hai bahut zati hai kaifiyat si ye magar kya hai hamare ji ki jaise raftar ki raftar se takraati hai apna-pan bhi hai wahi aur wahi khoya-pan 'talkh' tu aaj bhi pahle sa hi jazbaati hai