sanson ki rawani mein khalal aane laga hai thahro ki bichhad jaane ka pal aane laga hai kahte ho to lahje ki kamar sidhi na kar lun mana ki mere ijz pe phal aane laga hai ye kya ki har ek waqt ki bezar samaat har lafz ki peshani pe bal aane laga hai lao meri aawaz ki dastar utha kar kam-zarf koi had se nikal aane laga hai lo khatm hui umr-e-mah-o-sal ki ginti tamhid thi jis ki wahi kal aane laga hai