achchha jo bura aapne chaha na kisi ka

achchha jo bura aap ne chaha na kisi ka
diwana kyun na ho dil-e-farzana kisi ka

mana ki hai us shokh se yarana kisi ka
dam bharta hai phir kyun dil-e-diwana kisi ka

lau us ki faqat sham-e-risalat se lagi hai
mushtaq nahin bazm mein parwana kisi ka

aate nahin is rashk se wo khana-e-dil mein
aabaad na ho jae ye virana kisi ka

ai dil hai abas us se tamanna-e-mulaqat
wo shokh na hoga kabhi apna na kisi ka

un ke dur-e-dandan ke tasawwur mein shab-e-hijr
har ashk dam-e-girya hai durdana kisi ka

jaane se tere aae mere dil mein gham-o-ranj
pahle to siwa tere guzar tha na kisi ka

hargiz na sune wo gul-o-bulbul ki kahani
ho gosh-zad us ke agar afsana kisi ka

bole wo hujum-e-gham-o-hasrat ko jo dekha
kyun is mein rahen hum ki hai kashana kisi ka

kuchh dur nahin manzil-e-maqsud yahan se
de sath agar himmat-e-mardana kisi ka

aapas mein jhagadte hain agar shaikh-o-barahman
masjid hi kisi ki hai na but-khana kisi ka

phir gulshan-e-jannat ki na ho aarzu us ko
maskan hai agar kucha-e-jaanana kisi ka

allah re rutba ki hua qais qadam-bos
sahra mein jo pahuncha koi diwana kisi ka

bhatti mein jo ho dafn koi baada-kash-e-rind
gumbad abhi ho jaega khum-khana kisi ka

allah re tajahul mere ahbab se puchha
diwana hai kya 'sabir'-e-farzana kisi ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close