sanware hai gesu to dekha kare hai wo ab dil ko aaina jaana kare hai na baaten kare hai na dekha kare hai magar mere bare mein socha kare hai mohabbat se wo dushmani hai ki duniya hawa bhi lage hai to charcha kare hai tumhaari tarah bewafa kaun hoga hamein waqt ab tak pukara kare hai guzarte to hum bhi hain us ki gali se suna hai wo chhup chhup ke dekha kare hai ek aati hai manzil ki har husn wala tamannaiyon ki tamanna kare hai wahan la ke chhoda hai us ne ki insan jahan zahr khana gawara kare hai gile karte phiriye ki diwana baniye padi hai wo aison ki parwa kare hai jo ghuncha sar-e-sham chatke to samjho kisi par wafa ka taqaza kare hai kisi ne unhen ye sujha di ki 'mahshar' tumhein sher kah kah ke ruswa kare hai