saqi hai na mai hai na daf-o-chang hai holi kya haal hai imsal ye kya rang hai holi aai hai jo furqat mein mera khun karegi ye bhi tere aane ka koi dhang hai holi hum khak udate hain dholendi hai yahan par hum tak nahin aati kabhi kya lang hai holi sau bar jalata hun main ek aah se dam mein aa kar mere virane mein kya tang hai holi nikla mah-e-nakhshab ki gira chah mein yusuf ya hauz ke andar mah-e-gul-rang hai holi pichkari agar khama hai to rang siyahi rangini-e-mazmun se mere dang hai holi har but ewaz-e-qumquma dil mang raha hai is sal ki wallah ki be-rang hai holi ai 'mehr' tere gird hain mah-ru kiye taswir fanus-e-khayali hai ki arzhang hai holi