saqi jo diye jae ye kah kar ki piye ja to main bhi piye jaun ye kah kar ki diye ja jaane ki jo zid hai to mujhe zahr diye ja itna to kaha man le itna to kiye ja kuchh aur na kar mujh pe jafaen tu kiye ja kuchh aur na le meri duaen tu liye ja kya lazzat-e-tazir ne majbur kiya hai aata hai yahi ji mein ki taqsir kiye ja kam-bakht 'rasa' teri rasai nahin un tak tu khub sa islam ko badnam kiye ja