saqi ke nam-lewa maikhane rah gae hain mai-khanon mein bhi khali paimane rah gae hain be-maqsad-e-junun hain majnun jo dasht mein hain laila nahin rahi hai diwane rah gae hain ban kar jo ek haqiqat duniya pe chha gae the duniya mein aaj un ke afsane rah gae hain mahfil rahe tumhaari mahfil mein tum raho ab wo kya rahen jo ho kar begane rah gae hain pahchanna ab un ko dushwar ho gaya hai jo log apne jaane-pahchane rah gae hain qabron mein sone walo tum ko pukarte hain ishrat-kade jo ban kar gham-khane rah gae hain dekh ai nigah-e-ibrat aasar-e-ahd-e-mazi aabaadiyon ke ho kar virane rah gae hain ai gosh-e-ibrat un ko tu sun sake to sun le ye kuchh haqiqaton ke afsane rah gae hain ai sham-e-subh-e-mahfil un ko jala ke bujhna do-chaar aur tere parwane rah gae hain diwanon ko jo 'bismil' badnam kar rahe hain diwanon mein abhi kuchh farzane rah gae hain