wo yun shakl-e-tarz-e-bayan khinchte hain ki qail ki goya zaban khinchte hain ye tashhir dekho sag-e-ku-e-dilbar abhi tak meri haddiyan khinchte hain kare gar koi zikr ja kar hamara wo talu se us ki zaban khinchte hain na sadme se kyun khushk ho khun-e-bulbul gulon ka araq baghban khinchte hain badhi hai safar mein watan ki mohabbat makinon ko kya kya makan khinchte hain kare kaun sauda-e-zulf-e-musalsal hamin hain jo ye bediyan khinchte hain pas-e-marg mearaj aashiq ki dekho lahad ki zamin aasman khinchte hain nishana banaenge tir-e-nazar ka mohabbat ke dil par nishan khinchte hain zara dam to lene de ai maut mujh ko thahar kar nafas na-tawan khinchte hain zaifi mein bhi dil mein hai yaad-e-abru kabaada hain khud aur kaman khinchte hain mujhe dekh kar jab wo munh modte hain to dil mein chhupa kar sinan khinchte hain ghazab hai hasinon ka taur-e-takallum dilon ko ye jadu-bayan khinchte hain badha fikr mein rang zardi-e-rukh se ye itr-e-gul-e-zafran khinchte hain 'habib' ab zamin aasman sar pe lenge ki nale mere bijliyan khinchte hain