saqi ki ek nigah ke afsane ban gae kuchh phul tut kar mere paimane ban gae kati jahan tasawwur-e-jaanan mein ek shab kahte hain log us jagah but-khane ban gae jin par na sae zulf-e-ghazalan ke pad sake ehsas ki nigah mein virane ban gae jo pi sake na surkh labon ki tajalliyan duniya ke tajrabaat se anjaane ban gae 'saghar' wahi maqam hai ek manzil-e-faraaz apne bhi jis maqam pe begane ban gae