zara si dhup zara si nami ke aane se main ji utha hun zara tazgi ke aane se udas ho gae ek pal mein shadman chehre mere labon pe zara si hansi ke aane se dukhon ke yar bichhadne lage hain ab mujh se ye saneha bhi hua hai khushi ke aane se karakht hone lage hain bujhe hue lahje mere mizaj mein shaistagi ke aane se bahut sukun se rahte the hum andhere mein fasad paida hua raushni ke aane se yaqin hota nahin shahr-e-dil achanak yun badal gaya hai kisi ajnabi ke aane se main rote rote achanak hi hans pada 'alam' tamash-binon mein sanjidgi ke aane se