saqi ne ki nigah to arman nikal gae

saqi ne ki nigah to arman nikal gae
jab tak sharab aae kai daur chal gae

ye asr-e-nau hai baada-kashon hosh mein raho
sanbhlo ki mai-kashi ke tariqe badal gae

bad-bakht hain jo kucha-e-mahbub chhod kar
diwana-war jaanib-e-sahra nikal gae

pahchan kar bhi tum mujhe pahchante nahin
do din rahe jo dur to itne badal gae

sharminda mehr-o-mah bhi hain jin ke nur se
aise charagh rah-e-mohabbat mein jal gae

rudad-e-fasl-e-gul na suna mauja-e-nasim
sun kar chaman ka haal kaleje dahal gae

saqi teri nigah mein aisa asar bhi hai
bahke ye baada-khwar jahan par sanbhal gae

'shair' kahan ki fikr kahan ki sukhanwari
jazbaat-e-ishq sher ke sanche mein dhal gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close