saqi ye tere bas mein hai de jam ya na de jhuta magar kisi ko kabhi aasra na de soz-e-firaq kashmakash-e-muddaa na de dushman ko bhi kisi ki mohabbat khuda na de shayad ki so gaya hai junun phir jaga na de zanjir-e-pa ko khwab-e-rihai hila na de karna pade zamir ke bar-aks bandagi majburiyon kisi ko zarurat bana na de kya kya dikha raha hai mohabbat ke sabz bagh mitti mein dil ko josh-e-jawani mila na de gum ho ke main ne sikh liya khub ye usul jis ko khabar mile wo tumhaara pata na de ai 'jurm' dard-o-ishq ka milna nahin hai khel jab tak kisi bashar ko ye neamat khuda na de