paheli kaun bujhega jawab-e-naz-e-jaanan ki

paheli kaun bujhega jawab-e-naz-e-jaanan ki
hum us hun ko samajhte hain nahin ki us ne ya han ki

azal se ye amanat hai junun-e-fitna-saman ki
khirad ke hath lag sakti nahin dhajji gareban ki

agar maujon se dar ke hum bhi sahil hi pe rah jate
to duniya par haqiqat hashr tak khulti na tufan ki

giraftar-e-bala ke haq mein wo zanjir banta hai
jo nala nind uda deta hai zindan ke nigahban ki

kahe kuchh to bharam jae jo chup baithe to huk utthe
zarurat maut ban jati hai ghairat-dar insan ki

kuchh aise phul hum ne bhi chune the apne daman mein
jo apne sath raunaq le gae gulzar-e-imkan ki

wo diwana mere nazdik hoshyaron se achchha hai
haqiqat jis ne kuchh samjhi nahin tar-e-rag-e-jaan ki

ye majburi tamasha chashm-e-alam mein bana warna
khushi se dhajjiyan koi udata hai gareban ki

chaman kya hai namuna mere ek rangin tasawwur ka
nashat-e-kar ne surat badal di hai bayaban ki

nikhaarenge yahi kuchh phul aur kante ki rangat ko
phate daman pe jo tarikh likkhenge gulistan ki

muqaddar mein jo thi ai 'jurm' qaid-e-zist ki sakhti
anasir ke rawabit ban gae diwar-o-zindan ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close