saqiya abr hai de jam shitab ek par ek aaj mahfil mein gire mast-e-sharab ek par ek gul-e-bazi hai hasinon mein mera afsana phenk deta hai mohabbat ki kitab ek par ek josh par hai jo tera husn to ai parda-nashin roz karta hai ghazab band-e-naqab ek par ek tod is tarah se ai nala-e-dil saton falak ki giren tut ke ye khana-kharab ek par ek lab-e-ju sair ko aaya hai jo wo bahr-e-jamal tuta padta hai tamashe ko habab ek par ek yaad aati hai unhen dam-ba-dam ek baat nai roz aata hai mere khat ka jawab ek par ek jab kabhi 'dagh' kiya hum ne sawal-e-bosa saikdon us ne diye sakht jawab ek par ek