saqiya kis ko hawas hai ki piyo aur pilao

saqiya kis ko hawas hai ki piyo aur pilao
ab wo dil hi na raha aur umangen na wo chaw

rahne de zikr kham-e-zulf-e-musalsal ko nadim
us ke to dhyan se bhi hota hai dil ko uljhao

kucha-e-ishq mein jaana na kabhi bhul ke tum
hai wahan aab-e-dam-e-tegh ka har ja chhidkaw

kya zarurat ki hasinon ke dahan ki khatir
tum kamar bandh ke mulk-e-adamistan tak jao

kyun mito naqsh-e-qadam san kisi raftar pe tum
baithe bithlae gharaz kya hai ki ek hashr uthao

kis tarah koi unhen rah pe lae yarab
aur bargashta hue jate hain jitna samjhao

na-khuda ban ke khuda par kar is ka beda
be-tarah phans gai hai hind ki manjdhaar mein naw

ye nahin hai ki nahin qabiliyyat kuchh un mein
himmaten haarne ka ho gaya kuchh un ka subhaw

gharb hai mashriq-e-khurshed-e-ulum-o-hikmat
ab ye lazim hai ki lau apni udhar ko hi lagao

jo qadamat pe ude baithe hain wo hain gumrah
un se bachna hain ghazab un ke utar aur chadhao

asia ke to tumhein nam se kahna hi nahin
wahi surat hai use kitna hi ulto paltao

rasm-o-mazhab se na tum ghair bano aapas mein
ho chalat mein koi ya thah mein sam par mal jao

bas karo rahne bhi do waz-o-nasihat 'kaifi'
nasehon ko to yahan padti hain bazar ke bhaw


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close