tu mere ishq ki rudad nahin samjhega kyun mohabbat mein hun barbaad nahin samjhega umr bhar qaid mein rahne ki aziyyat ko kabhi jo parinda raha aazad nahin samjhega ahd-e-nau se koi ummid lagana hai fuzul ab koi maqsad-e-fariyaad nahin samjhega dosti kya hai faqat dost samajh sakta hai jis ne matlab se kiya yaad nahin samjhega dil ki viran gali hum ne sajai kaise kyun kiya dard se aabaad nahin samjhega tujh se main shikwa gila kaise karun 'sad' aakhir ye atiyya hai khuda-dad nahin samjhega