saqiya ye jo tujh ko ghere hain in mein kuchh rind kuchh lutere hain apni tahzib kha rahi hai hamein sanp ke munh mein khud sapere hain jis ne bakhshe hain phul gulshan ko us ne kuchh khar bhi bikhere hain kal jo tufan tha samundar mein us ke ab sahilon pe dere hain tere bare mein kuchh nahin malum hum agar hain to sirf tere hain hosh-o-ghaflat mein pas hi maujud mujh ko wo har taraf se ghere hain tum se to kya nazar milaenge khud se bhi hum nigah phere hain dar-haqiqat wahi adu hain 'falak' jin ko kahta hai tu ki mere hain