sukun-e-dil ke liye aur qarar-e-jaan ke liye tumhaara nam hai kafi meri zaban ke liye jo pur hai jam to kuchh khauf-e-hadsat nahin hamare pas bhi bijli hai aasman ke liye khmushi-e-rah-e-manzil se ye hua sabit ki manzilen bhi tarasti hain karwan ke liye misal-e-shams-o-qamar gardishon mein rahte hain khuda ne jin ko banaya hai aasman ke liye hawas ne khuld ajal ne chhudai ye duniya khabar nahin meri mitti hai ab kahan ke liye shab-e-firaq dua mang kar guzari hai kabhi asar ke liye aur kabhi fughan ke liye hamare zehn mein dil mein lahu mein urdu hai jiyenge aur marenge isi zaban ke liye pahunch gae sar-e-manzil jo ham-safar the 'falak hamin taraste rahe gard-e-karwan ke liye