sar-ba-sar badla hua dekha tha kal yar ka rang khub pahna hai naya us ne bhi is bar ka rang sukhe patton ki tarah udta hua dur talak main ne jate hue dekha mere kirdar ka rang ab jo aaya hun to khamosh to jaunga nahin ab uda kar ke hi jaunga main do chaar ka rang koi kah de ki jhuka do to jhuka dun main sar itna kachcha bhi nahin hai meri dastar ka rang koi puchhega to ab khul ke bata sakta hun mere dildar sa hota hai ji dildar ka rang bandh kar main ne badan yaad ke dhagon se kabhi muddaton ruswa kiya ruh-e-talabgar ka rang aur phir laut ke wapas hi nahin ja pae dekhne aae the hum bhi kabhi is par ka rang laut to aai hai sahil pe magar khauf mein hai kashti ki aankh se utra nahin manjhdar ka rang chaaragar khud hai pareshan ke 'sawan' kaise badla bimar ne bimar se bimar ka rang