sar-ba-sar paikar-e-izhaar mein lata hai mujhe aur phir khud hi tah-e-khak chhupata hai mujhe kab se sunta hun wahi ek sada-e-khamosh koi to hai jo bulandi se bulata hai mujhe raat aankhon mein meri gard-e-siyah dal ke wo farsh-e-be-khwabi-e-wahshat pe sulata hai mujhe gum-shuda main hun to har samt bhi gum hai mujh mein dekhta hun wo kidhar dhundne jata hai mujhe didani hai ye tawajjoh bhi ba-andaz-e-sitam umr bhar shisha-e-khali se pilata hai mujhe hama-andesha-e-girdab ba-pahlu-e-nashat mauj-dar-mauj hi sahil nazar aata hai mujhe