aankh par ret mal rahe hain hum

aankh par ret mal rahe hain hum
so zamin ko bhi khal rahe hain hum

hum ko malum be-khudi apni
phir bhi sahra mein chal rahe hain hum

waste de raha hai sahra bhi
khamushi ko nigal rahe hain hum

zard patte sadaen dete hain
in ko pal pal kuchal rahe hain hum

'mir' ki kya ghazal suni hum ne
aashiqi mein bhi jal rahe hain hum

jab se dekha hai banu-e-shab ko
dil hi dil mein machal rahe hain hum

be-sabab kyun hansi satati hai
aansuon se bahal rahe hain hum

aankh manzar badalti rahti hai
sham ke sath dhal rahe hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close