sar-ba-zanun koi fankar alag baitha hai main yahan hun mera kirdar alag baitha hai shahar mein nama-e-taqdis likha jaega mutmain hun mera inkar alag baitha hai teri tarif mein sab bol rahe hain lekin is pe hairat hai ki mear alag baitha hai ghair-mahfuz hain diwar banane wale aur shahanshah sar-e-minar alag baitha hai ab dabaoge to patthar se nikal aaegi ek aawaz ka haqdar alag baitha hai