lahu mein khak-e-shifa gundhne ki khwahish thi mujhe husain se kuchh mangne ki khwahish thi wo jis pisar ke jigar mein utar gai barchhi usi pisar ko jawan dekhne ki khwahish thi meri talash mujhe karbala mein le aai mujhe zamin pe khuda dhundne ki khwahish thi jinhon ne luta tha maula husain ka lasha unhin sinan se rida lutne ki khwahish thi main daudti rahi har tir ke taaqub mein mujhe pidar ka gala chumne ki khwahish thi khuda ke aakhiri lashkar mein bas bahattar the khuda ko karb-o-bala jitne ki khwahish thi mere husain mujhe hur samajh muafi de mere husain mujhe lautne ki khwahish thi bujha charagh to parkha junun bahattar ka jinhen lahu se ziya bantne ki khwahish thi furaat mashk mein bhar ke khiyam tak ghazi na laut paya magar lautne ki khwahish thi sinan ki nok pe dekho husain zinda hai kata nahin hai jo sar katne ki khwahish thi salam ashk ki khushbu mein odh kar 'rahib' dayar-e-karb-o-bala bhejne ki khwahish thi