sar bhi hai pa-e-yar bhi shauq-e-siwa ko kya hua jurat-e-dil kidhar gai laghzish-e-pa ko kya hua hasrat-e-afw kya hui jurm-o-khata ko kya hua samne hai dar-e-karam dast-e-dua ko kya hua waqf-e-mazaq-e-justuju dida-o-dil hain ab kahan manzil shauq-e-pa hi ki ghairat-e-pa ko kya hua jazb-o-asar se ban gaya aur bhi dushman aasman kar diya raaz-e-dil ayan aah-e-rasa ko kya hua kal to ba-hadd-e-shikwa thin ishq ki bad-gumaniyan ab na nadamaten hain kyun shikwa-sara ko kya hua shair-e-bazm-e-aql-o-hosh han koi aur naghma-sarosh dil ki sada hai kyun khamosh dil ki sada ko kya hua yun to hazar naqsh hain safha-e-kainat par us ka pata nahin magar naqsh-e-wafa ko kya hua gum-shuda-e-jamal hun dil hi ko sath ai 'shakil' mujh ko bhi le ke kho gaya rah-numa ko kya hua