wahi dard-e-musalsal wahi sarf-e-dua main basar hoti hui shab basar hota hua main akela apna mahram ki apna dusra main nazar mein aaina main samaat mein sadaen miyan-e-mahsharisatan ajab be-wasta main nahin us ki khabar main nahin apna pata main main aasan bhi kathin bhi magar tum kaun mere main aap apna tazabzub khud apna faisla main sukun-e-na-ashna log ye aapas mein juda log bahut kuchh dekhta hun sar-e-rahe khada main main kya hun kis jagah hun kaho wabastagan kuchh na mitti ki mahak main na parbat ki hawa main tumhein jab lautna ho khushi se laut aana wafa qaem milunga yahi main tai-shuda main