sar-burida koi lashkar nahin dekha jata hum se ye zulm ka manzar nahin dekha jata apni aankhon ko yahi kah ke sula deta hun apni auqat se badh kar nahin dekha jata apne kandhon pe utha lete hain lasha apna bojh apna kisi sar par nahin dekha jata dekhne ko to use bar nahin hai mujh ko baat ye hai ki barabar nahin dekha jata lautna ho to un aankhon se kinara kar lo dubna ho to samundar nahin dekha jata aaina hun na chura mujh se tu nazren apni dekh aaine se bahar nahin dekha jata hum bure hain to koi baat nahin hai 'iqrar' un se to koi sukhan-war nahin dekha jata