logon ne to samjha ki sahaaron pe khadi hai is shakh-e-samar-dar pe saat ye kadi hai ai karb-e-musalsal tu faqat itna bata de sanson ki chubhan hai ki tu ashkon ki ladi hai jaane ka irada wo kiye baithe hain ai dil ab chhod dhdakna ye qayamat ki ghadi hai chhoda tha jo ghar tum ne kabhi aa ke to dekho har chiz wahan aaj bhi waise hi padi hai hum hijr ke maron se bhala kaise hategi mushkil ki to diwar pe diwar khadi hai 'iqrar' wo zinda hai magar mujh se bichhad kar sanson ki chubhan us ki bhi nas-nas mein gadi hai