sar-e-darbar khamoshi tah-e-darbar khushiyan hain dar-o-diwar ki baaten dar-o-diwar khushiyan hain tujhe takna tujhe sunna tera hansna machal jaana hamare gham ke aangan mein faqat do-chaar khushiyan hain kai hain dastanen dafn yan yaron ke sine mein kahin par gham hai khushiyon mein kahin gham-khwar khushiyan hain amir-e-shahr kya jaane jo guzri hai gharibon par yahan par gham ke phere hain wahan har bar khushiyan hain na jab tak hum samajh paen hamara maqsad-e-takhliq jahan mein jo mayassar hon sabhi be-kar khushiyan hain badi mehnat se likkhi hai sar-e-qirtas jo main ne kahani mein jo rakkhe hain sabhi kirdar khushiyan hain jo mujh pe shart ho ahmad main puri kar dikhaunga sar-e-inkar gumnami pas-e-iqrar khushiyan hain