tamam taron ko jaise qamar se joda hai meri jabin ko tere sang-e-dar se joda hai khuda ne khud ko ba-zahir chhupa ke rakkha hai hamare dil ko na jaane kidhar se joda hai visal-o-hijr ki tartib ulti rakkhi hai idhar ka silsila us ne udhar se joda hai khuda ne sada qalam se banaya hum sab ko tere wajud ko apne hunar se joda hai ye chand bhi to tere husn ka bhikari hai tumhaare husn ko kis ne qamar se joda hai tamam lazzaten duniya ke dil mein rakkhi hain khuda ne sukh ko magar apne ghar se joda hai tamam midhaten waqf-e-ba-nam-e-ahmad hain tamam zikr ko is tajwar se joda hai