sar-e-khayal hai ye kaun magar nahin hun main jidhar talash rahe ho udhar nahin hun main ye taur-e-justuju thoda badal ke dekho na main aur bhi hun bahut jism-bhar nahin hun main ye kis ki shakl meri zat par numayan hai meri tarah tu lage hain magar nahin hun main thakan safar ko samete hue ho panw mein ye aur baat ke zer-e-safar nahin hun main main sochta hun ki ab ishq hi karun tujh se bahut dinon se kisi kaam par nahin hun main shab-e-jawani hun aisa na ho guzar jaun so mujh ko ji lo ki phir umr-bhar nahin hun main