sar-e-mahfil tamasha apna banwana nahin achchha jahan izzat na milti ho wahan jaana nahin achchha tere aane se main khush hun tere jaane se afsurda tera aana to achchha hai magar jaana nahin achchha hamin se kahte ho diwangi achchhi nahin hoti kabhi zulfon se bhi kah do ki bal khana nahin achchha maza to tab hai jab puri tarah se hosh kho baithe jise apni khabar ho aisa diwana nahin achchha koi pyasa tadapta hai koi sairab hota hai are saqi tera dastur-e-mai-khana nahin achchha