sar-e-mahfil tamasha ho gaya hai dil-e-betab ruswa ho gaya hai na thi kuchh aabru aankhon mein jis ki wo qatra aaj dariya ho gaya hai liye phirta tha daman mein qayamat tujhe diwane ab kya ho gaya hai rukh-e-taban ko tere jab bhi dekha nazar se chand maila ho gaya hai jahan suraj uga karta tha aksar usi ghar mein andhera ho gaya hai kiya hai jo ada us aastan par wahi maqbul sajda ho gaya hai shua-e-fikr ki tabaniyon se nazar mein husn paida ho gaya hai yahan 'masud' ek muddat se ab to khayal-e-yar tanha ho gaya hai