na ye manzar hai chaman ka na ye ban ki khushbu uf wo khushbu ka badan uf wo badan ki khushbu us ki aawaz mein chandi ke gajar bajte hue us ke lahje mein gulabon ke dahan ki khushbu chain kaise hamein aaega wo jannat hi sahi ud ke pahunchegi jahan khak-e-watan ki khushbu kam junun-khez na thi apni jagah mauj-e-bahaar tujhe paya to hui aur bhi sanki khushbu kucha-dar-kucha ye aawara-khirami kya hai baith sohbat mein kisi nek-chalan ki khushbu har taraf rang pe kaghaz ke gulabon ki bahaar har taraf raqs mein pairahan-e-fan ki khushbu mar dalega shab-e-gham ka ye joban allah chandni se mujhe aati hai kafan ki khushbu kyon ude phirte ho wade ki hawa mein 'masud' milne wali nahin us ahd-shikan ki khushbu