sar-e-manzar na mile to pas-e-manzar dekhun koi surat ho magar main use aksar dekhun apne afkar ko maila to nahin kar sakti phul barsen ki baraste hue patthar dekhun main bhi ek mauj hun mera bhi muqaddar hai safar kaise sahil pe khade rah ke samundar dekhun koi guzra hua lamha to palatna hi nahin ye kahan tab ki aaina mukarrar dekhun sunte hain git bana karti hain kirnen aksar chand ko aaj to aangan mein nikal kar dekhun waqt ke panw mein zanjir-e-dua bhi dalo jab sar-e-shakh-e-chaman koi gul-e-tar dekhun sach ki mere liye kyon aur na qimat badh jae jab main latki hui talwar bhi sar par dekhun mere fan ka hai yahi mujh se taqaza 'rana' jo meri zat mein pinhan hai wo bahar dekhun