ye kaisi shab ke dhundalkon ke aas-pas hai sham bahut udas hai dekho bahut udas hai sham humak rahi hai taghayyur ki tund shakhon par shafaq ke phul se lipti hui si bas hai sham chura rahi hain khalaen jo us ki god ka nur siyah raat ke dar se rahin-e-yas hai sham ulajh gai hai ufuq mein shafaq ki angdai umad rahe hain dhundalke to bad-hawas hai sham ye surkhiyon mein siyahi ke rengte dore dalil-e-khauf hai andaza-e-hiras hai sham ye lamhe lamhe ke sanche mein dhalti jati hai zarur ramz-e-mashiyyat se ru-shanas hai sham tapish ko gham ki bujhae hai ashk-e-shabnam se kisi gharib ki tuti hui si aas hai sham wahi fareb-e-tamaddun hai phir nasib ke nam kisi ka waqt-e-pareshan kisi ko ras hai sham guzar to jaegi lekin gham-e-sahar ban kar shab-e-daraaz ki ek mukhtasar asas hai sham palat ke dekh zara zawiye badal 'rahi' teri nigah pe mabni tera qayas hai sham