sar-e-sham us ne munh se jo rukh-e-naqab ulta na ghurub hone paya wahin aaftab ulta jo kisi ne 'qais-o-laila' use la ke di musawwar na haya ke mare us ne waraq-e-kitab ulta main hisab-e-bosa ji mein kahin apne kar raha tha wo laga mujhi se karne talab aur hisab ulta jo hain aashna-e-mashrab wo kisi se hon na sail isi waste rahe hai qadah-e-habab ulta mah-e-chaar-dah ka aalam main dikhaunga falak ko agar us ne parda munh se shab-e-mahtab ulta jo khafa hua main ji mein kisi baat par shab-e-wasl sahar uth ke mere aage wahin is ne khwab ulta ba-sawal-e-bosa us ne mujhe ruk ke di jo gali main adab ke mare us ko na diya jawab ulta kahin chashm-e-mehr us par to na pad gai ho ya rab jo nikalte subh ghar se wo phira shitab ulta main hua hun jis pe aashiq ye shagarf majra hai ki mere iwaz laga hai use iztirab ulta kisi mast ki lagi hai magar is ke sar ko thokar jo pada hai mai-kade mein ye khum-e-sharab ulta ye maqam-e-afrin hai ki ba-zor mushafi ne unhi qafiyon ko phir bhi ba-sad aab-o-tab ulta