us ke khat mein jo likha ghair ka main nam ulta laya qasid bhi mujhe wan se to paigham ulta hum musalmanon se yan tak to ye hindu bar-aks ki kabhi khat bhi jo karte hain to arqam ulta na wo saqi na wo mai-nosh hain mai-khane mein ab to rahta hai sar-e-khum pe dhara jam ulta ek to si-para-e-dil tum ne kiya hai barham tis pe phir mujh ko hi tum dete ho ilzam ulta wazhguni jo tabiat mein falak ki hai hanuz nazar aata hai zamana sahar o sham ulta shab-e-hijran ki siyahi na hui roz safed ye waraq tu ne na ai gardish-e-ayyam ulta rasan-e-dam ko sayyaad ne khincha to wahin aan kar sar pe asiron ke gira dam ulta 'mushafi' to abhi tha azm-e-safar par tayyar ghar phira jae hai kyun us ka sar-anjam ulta