sar kiya zulf ki shab ko to sahar tak pahunche warna hum log kahan husn-e-nazar tak pahunche aaj palkon pe meri jashn-e-charaghan hoga kitne anmol guhar dida-e-tar tak pahunche meri raaton ka andhera bhi duaen dega ek sitara jo utar kar mere ghar tak pahunche kaun kahta hai ki khurshid utar kar aae ek jugnu hi magar khak-basar tak pahunche jo bhi aae tere kuche mein wo jaan se guzre sar hatheli pe uthae tere dar tak pahunche hai usi sahib-e-mearaj ka ehsan ki hum khak ho kar bhi magar shams-o-qamar tak pahunche main andheron ka musafir hun ujalon ka naqib kis ki jurat hai meri gard-e-safar tak pahunche ungliyan pahle qalam karna padengi 'babar' phir ye mumkin hai qalam harf-e-hunar tak pahunche