sar ko tan se mere juda kije ye bhi jhagda hai faisla kije mujh pe tohmat sanam-parasti ki shaikh sahab khuda khuda kije lal ko us ke lab se kya nisbat ye bhi ek baat hai suna kije lo wo aate hain jald hazrat-e-dil fikr-e-sabr-e-gurez-pa kije hum ghanimat usi ko samjhenge lo wafa wada-e-jafa kije apna kina banun ki yaad-e-raqib kis tarah us ke dil mein ja kije yan to matlab hi kuchh nahin rakhte jo kisi se kahen rawa kije muddai ghat hi mein rahte hain kyun ki wan arz-e-muddaa kije dukh jo 'majruh' ne sahe gham se us ka kya sharh-e-majra kije mar gaya wo pa yaad aata hai us ka kahna ki aah kya kije sakht mushkil hai yar ka khulna ye girah kis tarah se wa kije sabr ke faede bahut hain wale dil hi bas mein na ho to kya kije ghair ki pasban ki darban ki kis ki ja ja ke iltija kije us ki wo aankh ab nahin 'majruh' jald kuchh apna sujhta kije