tir ki parwaz hai mashkiza-e-dil ki taraf ho ke ghayal phir bhi hum mail hain qatil ki taraf go nahin pairak lekin hausla badhne ka hai mauj ki ek fauj saf-basta hai sahil ki taraf har jagah hazir hun main apne misali tan ke sath fasle aur waqt be-mani hain manzil ki taraf jaisi apni ain hai utni hi apni daud-dhup qais mahmil ki taraf hum sham-e-mahfil ki taraf saut-e-naqus-o-jaras ho ya azan ho ya jaras rasta ek aur jata hai salasil ki taraf jaise be-harf-o-nawa utri hai ilhami kitab wo mukhatab hain usi andaz se dil ki taraf baada-khwaron mein bhi hum 'kawish' wali ban kar jiye rukh hamara tha tasawwuf ke masail ki taraf